Education Articles » A Day at Manhoos Examination Hall.

A Day at Manhoos Examination Hall.
(Abdulaziz Syed Ali Shah, K.s.a Makkah )



H.S.S.C Ki Date Sheet Aagai Thi Or Mera Pehla Paper English Ka Tha Meinay 5saal K Paper Or 13 Chapter Yaad Kiye Howay Thay. Raat Ko Sotay Waqt Allah, Allah Kr K Soya K Subha Paper Aasan Ho Phir Khyal Aaya K Tyari To Hai Sanno Ki. Jab Subha Centre Pr Phunchnay Wala Tha To Khyal Aaya K Overseas Waloa K Paper To Mushkil Aatay Hai. Meinay Kha Khear Hai Jo Hoga Dekha Jaiga. Centre Pr Phunchtay He Saray Sathi Naaj Gaa Rhay Thay Mein Ek Pal K Liye Heraan Hogya K Aaj Board Exam He Hai Na Khi Mein Galat Date Pr To Nhi Aagya Laikin Jab ROLL NO SLIP Pr Date Dekhi To Jaan Mein Jaan Aai.Dostoa Say Poucha To Jawab Yhi Mila K Alhamdulillah Tyari To Bari Achi Hai,Abhi Exam Mein 5min Baqi Thay To Saray Sathi Kehnay Lag Gai K Yaar To Thorra Sa Dekha Dena,Ek Nay Kha Sirif MCQ'S,Ek Nay Kha Sirif SECTION B, Meinay Sab Ko Kha Phelay Mujhay To Aai Phir Mein Baqio Ko Batao Ga. 

Class Mein Dakhil Hotay He Saray Apni Apni Marzi Say Chairs Pr Beth Rhay Thay Meinay Kha Kya Class Hai Laikin Phir Supredant Nay Apna Rang Dikha Dia. 

MCQ'S Miltay He Meray To Hosh Urr Gai Or Mein Nay Jhat Say Dekha Ye 

ENGLISH COMP Ka He Paper Hai Na. ALLAH ,ALLAH, Kr K MCQS To Day Dia Laikin Jab Subjective Mila To Kouch Jaan Mein Jaan Aai Sirif 2 Jaga Problem Darpeash Hoi Or Wo Question Tha, 


" In The Story "The Piece Of String" Guy De Maupssant Brings Home The Point That By Trying To Prove Innocence. Comment In The Light Of Story " 

Mein To Yahi Keh Rha Tha K Agr Is Sawal Ko Examiner Sada Alfaz Mein Likh Dey Ta To Kounsa Us Ka Baap Marr Jata. 

Aakhir Is Ko Mein Nay Rafa Dafa Krdia Itnay Mein Meray Ek Dost Nay Mujhay Sada Lagai Or Pouchnay. To Examiner Nay Uski Khoab Gandi Ki Is Doran Meray Ek Or Dost Nay Muhjay Sada Di To Mein Nay Kha Agr Meinay Is Na Laiq Ko Jawab Dia To Jo Likha Hai Wo Bhi Pani Mein Chala Jaiga. Lihaza Mein Nay Choudry Sahib Ki Baat Ko Ansuna Krdia . Agla Sawal Unhonay Na Insafi Kr K Humsay Ye Poucha K 

Q " Describe The Element Of Irony In The Play 'Heat Lightning'. 

Is Sawal Ko Phartay He Foran Meray Dimagh Mein Khyal Aagya K Ye To Koi Chapter Say Sawal Lia Gaya Hai Or Ye Exercise Mein Shamil Bhi Nhi. Meray Dimagh Mein Yahi Khyal Aaya K Story Mein Jo Larki K Pass Torch Hoti Hai Wahi Element Of Irony Ka Jawab Hai Aaisay Waisay Kr K Shuru Say Aakhir Tak Meinay Is Ka Jawab Likhdia. 

Nazar Ghumai To Sab Ja Chukay Thay Paper Dey K Mein Akela Class Mein Tha. Or Paper Hal Kr K Is Manhoos Class Say Chala Gaya.

Comments