Religion Articles » A Message for all Muslims By FAZ

A Message for all Muslims By FAZ
(Faraz Tanvir, Lahore)


When ever you are doing Dua, Always Dua for Ummate Mohammadeia.


Log pyaar ke liye hote hain aur cheezen istemaal ke liye, Baat tab bigarti hai jab cheezon sey pyaar aur logon ko istemaal kiya jaye.
* ALLAH ki khushi BAAP ki khushi mein hai or ALLAH ki narazgi BAAP ki narazgi mein hai
* Sood khaney wale ki dua Qabool nahi hoti
* Jis ne apni Namazon ki fikar chor di, ALLAH ne uski fikar chod di
* Agar koi shaks har Farz Namaz k baad AYAT-AL-KURSI parhay, to us ke aur Jannat ke darmiyan ka fasla sirf maut hai
* ALLAH us shaks ko abaad karta hai jo hadees sun k doosron tak pahunchata hai.
Nabi S.A.W ne farmaya Ramazan ke baad afzal roza Allah ke mahiney Muharram ka roza hai aur farz namaz ke baad afzal namaz Tahajjud ki namaz hai (Muslim)
Our beloved prophet MUHAMMAD (S.A.W) was born on 22/April/571. 12th RABI-UL-AWAL.
Total No. Of days of his life: 22330 days (63yrs 4days).
No. of days of his prophethood: 8156 days (23yrs).
Kamyab darasal wo hai jo aatish-e-jahannam se bach gaya, aur Jannat mein daakhil ho gaya aur yeh duniya ki zindagi to sirf dhoke ka saman hai (Al-Imran 18)
Hamesha DUA mangte raho kyun ke Mumkin aur Na-Mumkin to Sirf Hamari "SOCH" mein hai ALLAH ke liye to kuch bhi Na Mumkin nahi hai. Hazrat Ali(R.A)
Anmol Batein:
* ALLAH dey ke bhi azmata hay lay ke bhi azmata hay
* Gunah mein lazzat zaroor hai magar sukoon nahi
* Baat alfaaz ki nahi lehje ki hoti hai
* Kisi ke baray mein bura mat socho, ho sakta hai wo ALLAH ki nazar mein hum se behtar ho.
* Insan Zuban ke Parday may Chupa hua hai.
* Maut ko Yaad Zarur Rakho magar Uski Tamanna mat karo.
* Gunaho per Nidamat Gunah ko Mita deti hai aur Neki per Gharoor Neki ko Tabah ker deta hai.
* Hamesha Sach Baat kaho Taakay Tumhain Qasam khaani na Parhey.
Jab ek Momin doosre momin ki bhalai wali ghaibana Dua mangta hai to farishta Aameen kehta hai aur saath ye bhi kehta hai ke ALLAH tujhe bhi waisi hi bhalai Ata Farmaye
In Happy Moments - THINK ALLAH
Difficult Moments - SEEK ALLAH
Quite Moments - WORSHIP ALLAH
Painful Moments - TRUST ALLAH &
Moment By Moment - THANK ALLAH.
Jis ki namaz achi, us ki zindagi achi
jis ki zindagi achi, us ki maut achi
jis ki maut achi, us ki qabar achi
jis ki qabar achi, us ki akhirat achi
jis ki akhirat achi, us ki jannat pakki
So don't miss "Namaz"
Is nacheez ko bhi duaon men yaad rakhen
(Faz)

Comments